Tuesday 18 March 2014

nazar ka tika

kal se kuch, sar mein dard, aur tan tapa sa hai
 shayyad mujhe bukhar hai,
utha nahi jata
neend nahi ati
sone ka man karta hai
sarir tuttta hai
hain shayad mujhe bukhar hai

Socha  maa se puchu
phone ghumaya
 aur apna haal bataya
maa ne kaha, shayad mujhe lagi nazar,
shayad kisi ki ghehari ghurti ankho ne kiya yeh  asar

meine vichara  kal mein kaha gaya
 kaha se kah tak aya
kiski nazro ka yeh parinam hai
ki aaj mujhe bukhar hai

hain ,kuch dhoondhla sa yaad aya
 kal jab bus stop par khada tha ..
Apni bus ka intezaar kar raha tha
door se... do nigahe
ghurti ghari nighae ..
meri nighao se takrai
meri nigho ne uski nighao se puch
kya hua kya nihar rahi ho?
uski nighae palti  
muskarti hui ,
meri nigho se door chali gayi

shayyad yeh unhi ghurti nigaho ka khumaar  hai
shayad mujhe aaj bukhar  hai,

maa ne kaha nazar lagi, nazar ko utaro
pani ko saat bar sar par gumao, aur nale mein baho
lal mirch ke le muthi, sar par var saat bar
Chule mein jhonk de  jaa kar ghar se bahar
Nazar utaregi , thakan mitagi
bukhar khatam hoga
Jab nazar ka teeka lagega

maa phir boli....sun
apne mathe par har roj kala teeka laga
aur buri balao, se nazro, se apne aap ko bacha..


Mein sun maa ki baat hasa muskaraya
bola maa...tere haath ki naazro ka utrna ka hoga sirf asar
tuh mere pass aaja
mujhe phir se nazar ka tika laga ja
sun maa shaant ho gayi ...
maa ki awaz phone se lupt ho gayi

maa …maa.. mein chilaya
maa ne dhere se bola …
yehi hun ….sun rahi  hun

Mein bandhi apne kartavya se …
tere pita se, saat vachno se...
kaise aun ....
tu is bar khud.. nazar utar le
agli bar karti hu wada
utarne nazar
 teri maa jarur ayegigi
aur apne haatho se nazar ka tika lagayegi...