Monday 7 April 2014

Beti ke haath mein pooja ki thali, 

maa ke saath mandir jana, 

piche se bete ka dhup lekar daurrna,

pitaa ka yun hein sadak pe ghumna, 

rang birangi sarriyon mein maaon betiyon ka ghar se nikalna, 

pipal ke charon taraf haath jorre chakkar lagana, 

laut ke sabko prasad baatnaa, 

phir wo ladkon ka maidan mein khelna, 

naa jaane wo din kahan chale gae, 

kal jo beti vidaa hui, 

to aaj tak bahu ka raasta dekh raheen hein, 

meri maa ki aakhen, 

ek pooja ki thali aaj bi sajne ko tyaar hai, 

beti to nahin aa paaye, 

par bahu kahan hein,

maa baar baar ye sawal kartee hai,

beta agle saawan bahu jarur lana, 

pipal ki chaon mein jarur aanaa

No comments:

Post a Comment